Saturday, February 11, 2017

Meri Jaan, once in a year hi sahee, par this is the Month of St. Valentines.

Kya kahte hain..Love, Pyaar, Amour, Mohabbat ! Ishq !! Ka mausam !

Woh Dil hi Kya jo Teri Yaad Main Na Dhadke !!
Woh aankh hi kya, jo kachre se na phadke !!!

As you can see, I am very passionate about Shayari !

Tou aaj kuch sahee roomani sheyr k mood ban rahaa hain.

These are inspired by Parveen Shakir, the great "shaayara" !

Irshaad hain...

Woh Chehra tou Mera Tha, Par Nigahen Thi…. Unhi Ki
Woh Chehra tou Mera Tha, Par Nigahen Thi…. Unhi Ki

Woh Khamoushi Meri Thi, Par Baaten Thi Unhi Ki

Mere Chehre Pe, Woh Ek Ghazal Si, Likhti Raheen
Shayari Karti rahee, Bas Woh Ankhen Unhi Ki


Woh lamha, woh dil, who shokhi, woh sadaa
Jab maine suni, Woh Tez Saansen Unhi Ki
Dhadkan tou Meri Thi, Par who nabz Thi…. Unhi Ki


Chehra tou Mera Tha, Par Nigahen Thi…. Unhi Ki !!

VaAise Mausam Bhi, kayee Guzaare hain Ham Ne
VaAise Mausam Bhi, kayee Guzaare hain Ham Ne
Subhe  bhi unki thi, Aur Shamain bhi Unhi Ki
Din bhi unke thay, aur raatein bhi unhi ki

Dhyaan Main Un Kay, Mera Ye Aalam Tha Kabhi
Ki Aankh Thi Mahtab Ki, aur bas Yadein Unhi Ki
(Mahtaab: moon light)

Woh Chehra tou Mera Tha, Par Nigahen Thi…. Unhi Ki !!

Ahsaas E mohabbat,  Mauj-E-Hawa Ne Sunaya kuch aisa…
Ahsaas E mohabbat,  Mauj-E-Hawa Ne Sunaya tha kuch aisa…

Ki Aandhiyan jo thi meri, Baharen ho gayee Unhi Ki !!

Tou Aaj bhi nazarein jhukaake, who jab dekhtein hain humein ..
Tou Aaj bhi nazarein jhukaake, who jab dekhtein hain humein ..
 "Lafz-e-jazbaat" hote hain mere, par “Tarz e mohabbat” .. unhi ki

Woh Chehra Mera Tha, Par Nigahen Thi…. Unhi Ki !!


Meri Jaan.....till we meet next, stay safe and stay in Loeve.....!!!!


Subscribe to Youtube Channel:
 https://www.youtube.com/user/akaylaek